'विविध भारती के संगीत- सरिता कार्यक्रम में अनिल विश्वास से हुई तुशार भाटिया की बात-चीत का पुनर्प्रसारण हो रहा है। आज जो बात हुई वह मुख्यतः फैज अहमद फैज पर थी। आज फैज साहब का जन्म दिन भी है। मैं सुन पाया,गदगद हूं।
याहू के एक 'समूह'(विविध भारती) में पूरी बातचीत रोमन लिपि में दर्ज है।
AB: Anil Biswas
MK: Meena Kapoor
TB: Tushar Bhatia
TB: shrotaaon, baatchit chal rahi thi saahitya ki. main aapko bataana chaahta
hoon ki Bangla, Hindi aur Angrezee ke alaawaa Urdu saahitya ka bhi Anil da ne
gehra adhyayan kiya hai. dada, kal batchit ke dauran zikr aaya tha Faiz Ahmed
Faiz saahab ka. to kripaya unke baare mein kuchh bataaiye.
AB: ab tum Faiz ka naam mat lo, main ro paDoonga. main tunko ek baat bataata
hoon. Faiz ki aur hamaari dosti jo thi na, uspe log rashk karte the. Faiz yahaan
pe aata tha, yaani Delhi, log unko poochhte the 'aap aaj kahaan jaayenge, aapka
'programme'?' 'dekhiye aaj main JNU mein kuchh 'lecture' dene jaa raha hoon'.
aur wo aake baiThte the hamaare ghar mein. 'aaj thoDaa sa gaana bajaana ho
jaaye! wahaan pe sookhi sookhi baaten karni paDegi, sookhe sookhe log hain,
mujhe achchha naheen lagta hai' is kism ki baaten karte the. ek zamaana tha jab
main gaana gaaya karta tha. yeh kehte huye mujhe sharm aati hai (laughs)
TB: naheen dada, aapke kitne saare 'records' hamaare paas hain.
AB: main gaa naheen sakta iska mujhe dukh hai. ek shaam maine Shaam-e-Faiz kiya
tha. to dekho kitna 'humorous'. ham baDi door tak Faiz ko gaate huye chale gaye.
beech mein jab ruke to Faiz ne kahaa ki 'Anil, doosre kisi ka Gazal gaayo,
kyonki daad dene ko jee karta hai, main apni Gazal pe kaise daad doon?' aur woh
raat to poori kaT gayi. doosre din hamne naashta kiya, aur maine kahaa 'ab to
main tumko 'plane' mein biThaa ke hi ghar jaayunga, usse pehle ghar naheen
jaayunga'. aur waisa hi huya. wahaan pe jis ghar mein gaana bajaana hota tha,
Khaas kar do ghar the, ek ghar mein main kirtan gaata tha, ek ghar mein main
Gazal gaata tha. ek mein chandan ki Khushboo aur ek mein jaafraan ki Khushboo.
TB: kya baat hai!
AB: asal mein kya huya, woh gaana gaate gaate savera ho gaya aur jinke ghar mein
gaate the na, unke nam the ??? Bilgrami aur Mariam Bilgrami. unke bagair, maine
Gazal ka jo 'anthology' likha hai na, wo unke bagair mumkin naheen ho sakta tha.
unhone mujhko Urdu se pehchaan karwaya. aur unke gehraaiyon tak jaane ke liye
bahut tayyaari kiya tha. to unke ghar Gazal gaata tha. aur main falaana falaana
falaana, gine chune logon ko bulaa kar unko saamne biThaa deta tha aur unki
aankhon mein dekh kar gazal gaayo.
TB: bilkul bilkul!
AB: jinko ahd-e-zabaan aur ahd-e-mauseeqee, dono ki samajh ho, samjhe na?
TB: jee jee
MK: aap Khaas kar ke yeh Gazal gaate the na, (sings) "tere Gham ko jaan ki
talaash thi, teri jaan nisaar chale gaye".
AB: Faiz ko jab ham chhoDne gaye, Mariam ne poochha ki 'aapne itne Gazlen sune,
itni saari baaten aapne kee hai, dada ke baare mein kuchh naheen kahaa?' aaj
main tumko woh cheez kehne waala hoon jo main amuman kehta naheen hoon ki usmein
apna 'trumpet' bajaana hota hai, apna Dhol bajaana hota hai.
TB: naheen
AB: magar yeh main tumko kahoonga to tumko pataa chalegaa ki Faiz mein aur
mujhmein sambandh kaisa tha, aur meri Gazal gaane ki jo shaili hai na, usko kya
ahmeeyat dete the. to Mariam ne kahaa ki 'aapne sab ke baare mein itna kahaa,
dada ke baare mein kuchh naheen kahaa', to Faiz bahut dheere se bolta tha, 'haan
haan bhai kahenge kahenge, unke baare mein bhi kahenge, ab aisi baat to naheen
hai ki bas itna kehke chhoD de ki aap ne bahut achchha gaana gaaya, aapne bahut
achchhi tareeke se gaaya, aapke talaffuz bahut achchhi hai bangaali hone ke
baawjood, yeh sab kehnewaali baaten hain, unke baare mein bhi kahenge'. ye sab
kehkar wo chale gaye. aur jaane ke baad Mariam ke paas unhone chiTThi likhi aur
usmein likha ki yeh Anil ke liye hai. yeh mere paas unki hastaakshar mein
"mohabbat se, Faiz" likha huya, mere paas abhi bhi maujood hai. unhone yeh kahaa
tha ki "har ek harf-e-tamanna is istaraar mein hai, ki phir naseem ho
darbaar-e-yaar-e-bandaa nawaaz". iske baad mere baare mein kahaa "har ek Gazal
ka safeena is intezaar mein hai, ki aaye misl-e-sabaa phir Anil ki aawaaz'.
'sabaa' ka matlab...
TB: waah
AB: iske baad mein main Gazal gaane ke baad mein kabhi kisi se daad naheen
maangta hoon. yeh harf-e-aaKhir ho gaya hamaare liye to. samjhe na?
TB: jee. dada, aapki sangeet rachnaaon mein Gazal ki adhikta hai, aur isi baat
par mujhe raag bhairavi par aadhaarit film Milan ki ek gazal yaad aa rahi hai.
"jisne banaa dee baansuri geet usi ke gaaye jaa". didi, yeh Parul ji ka hai?
MK: haan, Parul ji ka.
TB: dada iske baare mein kuchh kahiye.
AB: iske baare mein itna hi kehna chaahoonga ki Arzoo saahab ne 22 Gazlon ka ek
sangrah likha tha, uska naam tha 'Sun le Baansuri'. usmein kisi bhi Gazal mein
unhone Arbi, faarsi, kisi bhi shabd ka istemaal naheen kiya, uski pehli Gazal
yeh thi "jisne banaa dee baansuri geet usi ke gaaye jaa, saans jahaan tak aaye
jaaye ek hi dhun bajaaye jaa".
MK
dada, jaise ki aapne bataaya, yeh Gazal to Arzoo saahab ke deewaan se thi, isko aap ne film mein kaise istemaal kar liya? AB: woh Arzoo saahab se haath joD kar ke, wo mujhse bahut pyaar karte the. bole ki 'beTaa, tum maangoge, main naa kaise kar sakta hoon!' aur phir maine unse aur bhi gaane likhwaaye the Milan 'picture' mein. "suhaani beriyaa beet jaaye" tumko yaad hogaa. TB: bilkul yaad hai AB: agar ho sakta hai to woh gaana bhi sunaa denaa. ----------------------------------------------